Friday, May 2, 2008

merey bachpan key din-1

 
 
merey bachpan key din-1

mey aaj india key aik dordaraz qasbey sey aap sey mukhatib hoon, mey apni zindagi ki 86 baharain dekh chukka hoon, aaj mey tanha aik jhonprey numa gher mey rehta hoon, meri tanhayaan aur mein, yeh khamoshi mujh ko das rahi hey, meri mout bhut qareeb hey, hann mey janta hon ab mey bhut hi kam is duniya mey rahon ga mout mujh ko akser qareeb ki jharion mey bethi nazer aati hey,aik din who mujh ko apney sath ley jai gi, mera naam prem hey, aaj meri family mey koi zinda nahi raha ,sab wahan ja chukey hain jahan sey kabhi koi wapis nahi aaya aaj tak, aur said wahan mera betabi sey intizar ker rahey hain, mey janta hon wahan mera anjaam bhut bura ho ga ,said mey kabhi mukti hi na paa sakon ,per mey yeh batain na janey kion keh raha hon, mera koi dharam,koi mazhab nahi mey ney jo zindagi guzari us mey dhram, ikhlaq, sharam, mashrati taqazey in cheezon ka naam o nishan tak na tha, wahan bua fitri taqazey hi merey rahber they….janah fitrat khud meri rahnumai per tayyar thi…..

mujh ko aaj bhi achi tarah yaad hey,

merey bachpan key din, kion key mey aik beti key baad peda hua tha is liye maa, baap ka piyara tha, maa meri bhut achi aurat thi aaj bhi apney ass pass us ki perchain mehsos kerta hon mey mere pita ji british navy mey they aur hum achey khasey khatey petey gharaney sey they mey 18 aug 1929 mey peda hua us waqt meri behen radha sirf 6 saal ki thi who aik nanha bhai paa ker bhut khhush thi,jab mey teen saal ka hua to humarey ghar aur khusian aa gain humari aik aur behen aa gai us ka naa pita ji ney barey pyar sey kamini rakha who thi bhi to bilkul komal komal, us ka bachpan aaj bhi yun lagta hey…….bus kiya kahon"

" us waqt humari bari behen rada 9 saal ki hochuki thi aur kafi sunder bhi who ab maa key sath kaam bhi kerwa liya kerti thi, bhari kamoon key liye to nauker they hi….

bhut khusion bharey din they who bhi…..

phir hindustaan key halat kuch bigrney lagey yeh lagbhag 1937 key akhir ki baat hey…

ab pita ji aur maa aksar in bigrtey hoye halat per pareshan ho jatey they…

akhir merey pita ji ki fauj ki naukri aur un key taluqat kaam aaye aur meri family ney inglistaan shift honey ka faisla kiya…

jin mey merey dada,dadi,pitaji, maa aur hum teeno bachey shamil they…

kuch dino tak pita ji bhag dor kertey rahey akhir feb 1938 key end mey ja ker humarey sarey documents ready they..

aur hum taayar they england janey key liye…

laikin bherhaal tayyarian kertey kertey march 1938 bhi guzer hi gaya taqreban aur humari behri jahaz ki tickets confirm hoin 27 march 1938 ki us din hum ney apna desh hindustaan hamesha key liye chor dena tha…

akhir who din aa hi gaya….

date:27 march 1938

aaj hum sab behen bhai bhut khush they kion key maa ki zabani hum ko behri jahaz ki bhut si kahaniyan sunney ko millin thin aur hum is romancuk safer key liye bechain they…humara sara saman 2 lariyon mey bhara ja raha tha aur phir who bandergha ki janib chalin gain hum sab behen bhai aur humari puri family aik victoria mey beth ker bander gha ki taraf rawana ho gaye…

un dino bombay ki bander gha aaj ki tarah shandar na thi zada ter wahan inglistan sey aaye aur spain ki taraf sey aaye tijarti jahazon ki bhermar rehti thi godi per mazdoron ki bhant bhant ki awazain sunai dey rahin thin aik ajb ghema ghemi thi…british navy key bhi kai jahaz wahan langerandaz they zabtey ki karwayon sey guzertey hoye hum sab akhir jahaz per apney cabin mey aa hi gaye…bus yunhi sa cabin tha aaj key cruse ships ki tarah shandar to na tha per us zamaney mey behter hi tasleem kiya ja sakta tha…khair akhir shaam ko jahaz ka langer utha ker godi ko khairbad kaha gaya bandergha per is waqt logon ka hajoom tha jo apney azezon ko wida kerney key liye waha jama they…

mey yeh sab dekh raha tha meri umer us waqt 9 baras kit hi mey abhi samjhdar ho raha tha aur in tamam chezon ko bhut dilchaspi sey dekh raha tha meri dono behnain bhi meri qareeb khari thin aur hum teeno railing sey latkey kinarey ko dour hata dekh rahey they….dour maghrib mey aag ka gola soraj apni ankhon sey duniya ko dekh raha tha aur raat ki tareeki apni palkey patpatatey tezi se duniya ko apni lappet mey ley rahi thi…..

jis waqt ki mey yeh waiat likh raha hon us waqt meri umer 9 saal meri bari behen radha ki umer 15 saal aur meri choti behen kamini ki 6 saal ki hey inglistan pohnchtey hi mere chacha key larkey sey meri behen radha ki sagai tey hey…per qismat ko yeh manzoor nahi …qismat humary liye kuch aur hi rahain mutainker chuki hey jahan jana humarey liye lazim hey hum is sey lakh bachna chain per taqdeer ka chaker humain apni lappet mey lene key liye herkat mey aa chukka tha aur hum aaney waley waqiat sey bekhaber aaney waley haseen dino key fareb mey khoye hoye they….

mey janta hon merey perhney waley bhut betab hain aagey key halat janney key liye laikin kiya karon bhut bhora ho chuka hoon,thak gaya hoon aaj bus itna hi keh sakta hoon, so mey keh chuka………

prem..

(clip 2)

hum behen behen bhai us behri jahaz per bhut enjoy ker rahey they hum ko bhut acha lag raha tha yeh shant samender yeh sukoon, yeh medham sa lehroon ka shore aur un mey dolta humara be haqiqat jahaz mey to bhut heran tha jab aasmanoo ki wusatoon per nazar dalta aur phir samender ki bepanah gehrayan dekhta to humara wajood aik behaqeqat zareey sey bhi haqeer nazer aata…

date:31 march 1938

aaj humain safer kertey 5 din ho chukey they ab hum bachey is safer sey ukta chukey they aur jald sey jald zameen per utrna chahtey they, yeh shaam ki baat hey aasman ghera surmai ho chuka tha aur dour bhut dour ufaq mey bijliya si lehratin mehsoos ki ja saktin thin…jahaz ka amla aaj ghair-mamooli si bhagdor mey masroof tha aaj hum raat ka khana khatey hi apney cabin mey chaley aaye ….phir kuch dair baad hi aisa laga jaisey aasman phat para ho…bhut zoron ki barish thi…mey ney hindustaan mey apney esh mey kabhi aisi barish na dekhi thi….kaan pari awaz bhi sunai na dey rahi thi…hawaon ka shour is qader tha key yun lagta tha key humain urra ley jain gi…laikin humara khilona sa jahaz bari bejigri sey un bhayanak hawaon ka muqabla ker raha tha….laikin yeh to us toofan ki shrooaat thi…aur jab toofan aaya to jahaz yun maloom hota tha jaisey hawa mey ur raha ho abhi aik leher us ko samender sey utha ker patkh hi rahi hoti thi key dosri uchak leti thi….aur phir aik zaberdast dhamaka sunai diya ,pita ji ney derwaza khol ker dekha to jahaz ki bari chimni jahaz key arshey per pari thi aur jahaz key bechon bech aik gheri darar namodar ho chuki thi….pita ji ney hum bachoon ka hath pakra aur baher chaley aaye….bus kiya bataoon iya manzer tha…kiya borha kiya jawan bus aisa lagta tha key aik gada berpa ho chuka ho….jis ka jidher monh uth raha tha who wahan bhag raha tha…jahaz per bandhi hifazati kashtiyon per hathapai shroo ho chuki thi…insaniyat apna sharafat ka libada uttar chuki thi her aadmi un kashtiyon per pohnch jana chahta tha kion key sab hi jantey they key kuch hi dair mey yeh jahaz nahi rahey ga aur yeh kashtiyan hi bachao ka wahid zarya thin….laikin jahaz ka captaan aur us key chand hawari apni rifles uthaye samney kharey they…un ko dekh ker biphrey hoye hujoom ko thori shanti milli captaan bola" bhayoon mout ko to her jaga pohnch jana hey to kion na mout sey ler ker jiya jaye ager haar bhi gaye to kiya bahadroon ki mout hi marain gey aao apni ghar walion aur bachoon ko sawar kerwa do in per hum kahin nahi ja rahey"

yeh sun ker aik bechani si pehli, laikin kuch nahi ho sakta tha kashtoyan wahan mojoud logon ki tadad sey hut kam thin…akhir kar aurtain aur bachey sawar hoye un kashtiyon per aur who aik key baad aik samnder mey uttar di gain kuch nakhhugawar waqiat bhi hoye is doran laikin akhir mey apni maa sey chimta betha tha aur meri dono behnain aik dosrey sey hum sab bari hasrat sey apney pita ko dekh rahey they aur who bhi aansoo bhari alwidai nazroon sey apney pariwaar ko juda hotey dekh rahey they….aur phir said mey so gaya ya behosh ho gaya kion key jab meri aankh khuli to hum samander mey they aur kadhti pe kafi tadad mey aurtain aur bachey sawar they jin key roney ki awazain bhi gahey ba gahey aa jatin thin…laikin abhi qismat ko kuch aur manzzor tha abhi to qismaat ko aik khofnak kahani raqam kerni thi abhi to bhut kuch hona tha….aur us bhut kuch ki ibtida yun hoi key kashti humari buri tarah sey dolney lagi aur us mey pani aaney laga saaf zahir tha key us mey gunjaish sey zada log sawar they….log abhi samjhney bhi na paye they key yeh kiya hu hey who kashti aik dam sey ulat gai…aur phir kon kahan gaya aur kon kahan kis ko yaad hey…mujh ko to bus itna yaad hey key jab meri aankh band hoi to mey ney apni behnoo ko buri tarah chillatey aur apni maa ko un ko awazain detey suna…aur phir mujh ko koi hosh na raha…… haan kuch ehsas zaror tha key kisi hath ney mujhey maa ki murda banhoo sey nikal ker kashti mey rakh diya….jab meri aankh khuli to soraj sir per chamak raha tha hamesha ki tarah laikin aaj mey hamesha jaisa nahi tha…mujhey nahi pata mere maa ka kiya hua sard samnder mey un ki lash ka kiya hua…apney pita ko mey ney akhri baar behri jahaz per kharey hasrat sey hath hilatey hi dekha us key baad kabhi nahi dekha…said ab merney key baad dekh sakoon…said who wahan aasmanoon key us paar meri rah dekh rahey hoon…mujh ko mere kiye ki saza deney ko betaab hoon …..

khair mey apni dastaan ka tasusal phir sey jorta hon jab meri aankh khuli to mey ney khud ko aik khasti mey paya us kashti mey mere siwa chand log aur bhi they jo aik dosrey per upper nechey parey they aur mey dekhtey hi samjh gaya tha key un mey sey bhut sey log kisi bhi madad sey bhut dour ja chukey hain…ji haan who faqat lashon ka aik dhair tha…us khasti per said aik wahid mey hi zinda insaan tha…laikin kab tak..mey bhi bhut jald is zalim samnder ka shikaar honey ko tha…maafi chahta hoon samnder ko mey ney yahan zalim likha halankey is samnder ko mey ney khud per hamesha mehrbaan hi dekha bhut purskoon bilkul meri maa ki aghosh ki tarah naram…samnder ki naram hawain merey kanoo mey lorian deney lagin aur mey phir so gaya ya said behosh ho gaya aur na janey kab tak yunhi para raha…key achanak kuch hua…ji haan mey ney us lashon key dhair mey kuch sersrahtain sunin thin koi pukaar raha tha go key awaz hut hi dhemi thi laikin bherhaal is khamoshi mey who aik awaz thi jo lehroon ki madham awazon mey baasani sunai di ja sakti thi..mey ghastta hua agey berha aur us lashoon key dahir ko idher uddher kerney laga kisi ney phir pukara "pppppaannniiii"

aur yeh awaz to mey lakhon mey pehchan skta tha…who awaz meri bari behen radha ki thi…

mey ewanoo ki tarah us ko awaz deney laga "didi…didi…didi"

phir us dhair mey sey awaz aai"prem yeh tum ho mere bhai"

mey ney kaha"haan didi yeh mey hoon prem"

"kahan ho tum didi"

"mey abi hoi hoon prem merey sath kamini bhi hey who behosh hey said "

tum in logon ko hatao mera dam ghuta ja raha hey"

mey bola"didi yaha koi log nahin hain yeh sab lashain hain"

"laaaaaaaashain"

didi ki phati phati si awaz aai aur phir mujh ko us dhair mey sey aik chekh ki awaz aai aur kuch halchal hoi mey ney bhi ab un lashon ko dhakka dey dey ker samnder mey giraney laga aur kuch hi dair baad meri behen rada namodaar hoi…who zinda thi said itney nechey dabey rehney ki waja sey who bach saki thi…who baher nikal aai …hum dono behen bhai ab amney amney they behad ghabraye hoye pareshan laikin ab kiya hosakta tha hum apni choti behen kamini ki taraf mutwajja hoye…who behosh thi laikin us ka sans normal chal raha tha us ki halat khuli faza mey aatey hi sahi honey lagi aur cherey per surkhi si dorney lagi aur kuch hi dair baad who hosh mey thi hosh mey aatey hi who maaa ko pukarney lagi hamain kuch dair lagi us ko normal kerney aur soratehaal bataney mey….phir hum teeno behen bhai us kashti per bethey they aur who na janey kahan bahee chali ja rahi thi na manzil ka koi nishan tha na rstton ka kuch ilm…laikin samnder humari manzil janta tha…aur soraaj ghroob honey sey kuch dair qabal us ney humain aik sahil per la phenka…hum khush they sahil per aa ker hum samjh rahey they hum bach gaye bus ab abaadi mey pohnchney ki dair hey..hum nidhaal ho ker wahin saahil ki geli rait per gir sey gaye…aur phir raat ho gai said hum sari raat wahin pare rahey kion key jab meri aankh khuli to mey akela wahin para tha meri dono behnain uth ker zarori hajat key liye darkhtoon key pechey gain thin …mey uttha aur didi ko pukarney laga who dono kuch fasley sey mujh ko aatey hoi nazar aayen…prem mujh ko lagta hey yahan aabadi nahi hey hum kafi dour tak ho ker aayen hain laikin aagey sirf jungle hey jo aur bhi ghana hota ja raha hey..didi ki awaz mey pareshani thi…mey un ko dekhta reh gaya…phir hum ney atraaf ka jaiza liya..jahaz ka bhut sa saman sahil per bikhra para tha said samnder ki lehroon ney humarey sath un ko bhi yahan la phenka tha aur un mey sey bhut si chezon ney humari aaney wali zindgi mey bhut ehem qirdar aada kiya mey apney sunney walon sey guzarish kerta hoon key who in cheezon ki tafseel zehen mey rakhain takey aapko agey ki dastaan ko samjhney mey dushwari na ho…jo chezain hum ney sahil per sey laa ker rakhin who kuch yun thin..

aik bara sandooq jis mey chand zerjamey aurtoon key liye…do motey coat ladies bhut sey blade ustrey key..machisoon key bandal…mombatiyaan…sharaab ki kafi botlain…matti ka tail(kerosin oil) khusk ghost key parchey…machli pakerney ka jumla samman aur un key sath aik bara jaal…chand auzaar…aur aik bari kulhari(axe).

yeh thin who chezain jo humain milli..april ka mahina tha saal 1938…meri umer us waqt 9 saal, meri behen radha ki umer 15 saal, aur choti behen ki umer 6 saal…aap janye yeh bhut kam umrain hotin hain jab key halaat kuch yun they key hum aik anjaan sahil per parey they hum ko nahi pata tha key duniya key kis hisey mey hain aur kab tak yahan rahin gey…abhi to pehla din tha yahan aur hum yeh umeed lagaye sahil per hi bethey they key abhi koi jahaz aaye ga aur hum ko yahan sey ley jaye ga..

laikin hum nahi jantey they yeh baat key hum ney apni umer ka aik bara hissa yahan guzarna hey..yehi humari taqdeer mey likh diya gaya tha aur taqdeer ka likha unmit hota hey dostoon…ab bus mujh ko ijazat dain bhut jald apni dastaan puri karon ga

…meh keh chuka….

No comments:

Post a Comment

कामुक कहानियाँ डॉट कॉम

राज शर्मा की कहानियाँ पसंद करने वालों को राज शर्मा का नमस्कार दोस्तों कामुककहानियाँब्लॉगस्पॉटडॉटकॉम में आपका स्वागत है। मेरी कोशिश है कि इस साइट के माध्यम से आप इन कहानियों का भरपूर मज़ा ले पायेंगे।
लेकिन दोस्तों आप कहानियाँ तो पढ़ते हैं और पसंद भी करते है इसके साथ अगर आप अपना एक कमेन्ट भी दे दें
तो आपका कया घट जाएगा इसलिए आपसे गुजारिश है एक कमेन्ट कहानी के बारे में जरूर दे

460*160

460*60

tex ade

हिन्दी मैं मस्त कहानियाँ Headline Animator

big title

erotic_art_and_fentency Headline Animator

big title